Free & Confidential

Free Mental Health Test

Kabhi socha hai ke jo aap mehsoos kar rahe hain woh normal hai ya nahi? Yeh paanch chhote tests wahi hain jo psychologists duniya bhar mein screening ke liye istemal karte hain. Do minute lagenge, koi naam nahi, koi record nahi.

✔ 100% Free
✔ No Sign-Up
✔ Nothing Is Saved
GAD-7

Anxiety Test

Ghabrahat, be-chaini, har waqt ki fikr — 7 sawal jo bataate hain ke anxiety ki alamaat kis had tak hain.

▶ Start Test
PHQ-9

Depression Test

Udaasi, dilchaspi ka khatam hona, neend aur energy — 9 sawal jo depression ki alamaat ka andaza dete hain.

▶ Start Test
PSS-4

Stress Test

Kaam, zimmedariyan, dabao — 4 chhote sawal jo bataate hain ke pichhle mahine stress ka level kya raha.

▶ Start Test
ISI

Sleep / Insomnia Test

Neend na aana, baar baar aankh khulna, subah thakan — 7 sawal jo bataate hain ke neend ka masla kis had tak hai.

▶ Start Test
PC-PTSD-5

Trauma Screen

Kisi sakht tajurbe ke baad ke asraat — 5 sawal jo bataate hain ke trauma ki alamaat maujood hain ya nahi.

▶ Start Test

Yeh tests kahan se aaye hain?

Yeh humne khud nahi banaye. Paanchon woh maane hue screening tools hain jo dunya bhar ke clinics aur hospitals mein rozana istemal hote hain — GAD-7 anxiety ke liye, PHQ-9 depression ke liye, PSS-4 stress ke liye, ISI neend ke liye, aur PC-PTSD-5 trauma ke liye. Aap ke psychologist ke paas bhi pehli session mein aksar isi tarah ke sawal aate hain.

Farq sirf itna hai ke clinic mein yeh score kisi trained insaan ke saamne rakha jata hai jo aap ki baat sun kar uska matlab nikalta hai. Yahan score aap ke saamne hai — aur iska maqsad tashkhees dena nahi, sirf yeh batana hai ke shayad kisi se baat karne ka waqt aa gaya hai.

Aap ka score kis ka saboot nahi hai

Kam score ka matlab yeh nahi ke aap ki takleef asli nahi. Zyada score ka matlab yeh nahi ke aap “beemar” hain. Yeh sirf ek tasveer hai un do haftoun ki jo abhi guzre — aur do hafte kisi ki poori kahani nahi hote.

Agar score kam bhi aaye lekin aap andar se theek mehsoos na kar rahe hon, to woh ehsaas score se zyada ahem hai. Us par bharosa karein.

Test ke baad kya karein?

Agar aap ka score halka hai to yeh khabar achhi hai — apni neend, exercise aur logon se rabte ka khayal rakhte rahein. Hamare mental health guides mein rozmarra ke liye practical tareeqe likhe hain.

Aur agar score darmiyana ya zyada aaya, ya alamaat aap ki neend, kaam ya rishton par asar daal rahi hain — to yeh kisi qualified psychologist se baat karne ka waqt hai. Anxiety, depression stress, neend ke masail aur trauma — sab ka evidence-based ilaj maujood hai, aur yeh CBT jaisi therapy se kaafi had tak behtar ho jate hain. Madad maangna kamzori nahi — aksar yeh sab se samajhdar qadam hota hai.

Aam sawalat

Kya yeh test bilkul free hai?
Ji haan, teenon tests poori tarah free hain. Na koi sign-up, na email, na phone number. Aap ke jawab kahin save nahi hote — page band karte hi sab khatam.
Kya yeh test batayega ke mujhe depression ya anxiety hai?
Nahi. Yeh screening tools hain, tashkhees (diagnosis) nahi. Yeh sirf yeh andaza dete hain ke alamaat kis had tak hain. Tashkhees sirf qualified clinical psychologist ya psychiatrist hi kar sakta hai, poori baat sun kar.
Kya mere jawab kisi ko dikhte hain?
Bilkul nahi. Poora test aap ke apne browser mein chalta hai. Na hum jawab dekhte hain, na woh kisi server par bhejte ya save kiye jate hain.
Score zyada aaya hai, ab kya karun?
Ghabrayein nahi. Zyada score ka matlab sirf yeh hai ke alamaat numayan hain aur un par tawajjo deni chahiye. Sab se behtar qadam ek qualified psychologist se baat karna hai — anxiety, depression aur stress teenon ka moassar ilaj maujood hai.
Relationship, ghussa ya gham ka test kyun nahi hai?
Kyunki in ke liye koi aisa mukhtasar, maana hua screening tool maujood nahi jaisa anxiety ya depression ke liye hai. Hum aisa test banana nahi chahte jo bharosemand na ho. In masail ke liye behtar yeh hai ke seedha kisi psychologist se baat ki jaye — woh sawal poochh kar sahi tasveer bana leta hai.
Kya main yeh test kisi aur ke liye kar sakta hoon?
Behtar hai ke insaan khud apne jawab de, kyunki sawal andar ke ehsasaat ke baare mein hain jo bahar se andaza lagana mushkil hai. Albatta aap yeh page unhein bhej sakte hain.
© 2026 Life Reboot Pakistan. All rights reserved. Pakistan’s #1 Online Counselling Platform.
Urgent sessions subject to psychologist availability. This platform provides counselling support and does not replace emergency medical care.